Latest Quotes
Loading...
Tuesday 26 November 2013

Mirza Ghalib: Hua hon Ishq ki ghaarat-giri se sharminda

Hua hon Ishq ki ghaarat-giri se sharminda
sivaaye hasrat-e-taameer ke ghar mein khaak nahin

ہوا ہوں عشق کی غارت گری سے شرمندہ
سواۓ حسرتِ تعمیر گھر میں خاک نہیں

हुआ हूं इश्क़ की ग़ारतगिरी से शरमिन्दा
सिवाए हसरत-ए-तामीर के घर में ख़ाक नहीं

Translation:

ghaarat-giri = tabaahi ki fitrat, destructive nature
sharminda = embarrassed
hasrat-e-taameer = desire to build
khaak nahin = emphatic way of saying "nothing" or "kuchh nahin"
In Urdu
ishq jahaan bhi jaata hai apne saath barbaadi le kar jaata hai. Aur ishq jis par sawaar hota hai woh barbaad ho jaata hai.
Lekin main to pehle se hi barbaad tha. Mere paas kuchh bhi na tha aur mera makaan bhi khandar ki maanind ho chuka hai, aur aise me ishq ne mere ghar ka rukh kiya.
Main ishq ke saamne sharminda hooN ke mere paas kuchh bhi nahin hai jo iski gharat-giri ki fitrat ki nazar kar sakoon. Yaani ishq mere haal dekh kar maayoos hai aur main uss ki maayusi par sharminda hoon. Kaash ke mere paas "hasrat e taameer" ke ilaawa kuchh hota jo main ishq ke saamne rakhta aur fakhr se kehta ke "le barbaad kar ise".







 In English
Love/Passion brings destruction in it's wake and ruin everything. It has visited my house as well, but due to poverty my house is already in a state of ruin and there is nothing, except a desire to build, in this house. There is nothing in this house that love/passion can destroy. And, I stand embarrassed before it (love/passion) as I have nothing which can satiate its lust for destruction.