Top Ghazals, Ye bastiyaan hain Kay Maqtal" duaa kiye jayen
Ye bastiyaan hain Kay Maqtal" duaa kiye jayen
Duaa ke din hain musalsal" duaa kiye jayen
Koi fughaan" koi naalaa" koi buka" koi bain
Khulega baab -e- muqaffal" duaa kiye jayen
Ye aztraab" yeh lambaa safar" yeh tanhaayi
Yeh raat aur yeh jangal" duaa kiye jayen
Bahaal hoke rahe gi fezaa-e-khitta-e-khair
Yeh habs hoga mu’attal" duaa kiye jayen
Guzashtagan-e-muhabbat ke khaab ki saugand
Woh khaab hoga mukammal" duaa kiye jayen
Hawaaye-sarkash-o-saffaak ke muqaabil bhi
Ye dil bujheinge na mash’al" duaa kiye jayen
Ghubaar uRaati" jhulasti hui zamiinon par
Umand ke aayeinge baadal" duaa kiye jayen
Qubool hona muqaddar hai harf-e-khaalis ka
Har aek aan" har ek pal" duaa kiye jayen