Resham zulfon, neelam ankhon walay achay lagtay hain
ReSham zulfon" neelam ankhon walay achay lagtay hain
Main Shair hoon mujh ko ujlay chehray achay lagtay hain
Tum khud Socho" aadhi raat ko thanday chaand ki chaoon mein
Tanha raahon per hum donon kitnay achay lagtay hain...!
Aakhir"aakhir Sachay qoul bhi chubhtay hain dil walon ko
Pehlay pehlay pyar ke jhootay waday achay lagtay hain
Jab Say wo perdeS gaya hai Shehar ki ronaq rooth gai
Ab tou apnay ghar ke bund dareechay achay lagtay hain
Kaali raat mein jagmag kertay taaray koun bujhata hai?
IS dulhan ko ye mouti ye gehnay" achay lagtay hain
Kal uS roothay roothay yaar ko dekha to mehSooS hua
MohSin ujlay jiSam pe mailay kapray achay lagtay hain...!