Aawargi by Mohsin Naqavi
Bade wasooq se duniya fareb deti hai
bade khuloos se hum aitbaar karte hain”
yeh dil yeh pagal dil mera, kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha, vo kya hua aawargi
kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai, usne kahaa aawargi
ek tuu ke sadiyon se mere, humraah bhi humraaz bhi
ek mein kii tere naam se, na-aashana aawaragi
ye dard kii tanahaaiyaa ye dasht kaa viiraa.n safar
ham log to uktaa gaye apnii sunaa, aavaargii
ik ajnabi jhonke ne jab, pucha mere gam ka sabab
sehra ki bheegi ret par, main ne likha aawargi
kal raat tanha chand ko, dekha tha main ne khwab main
“mohsin” mujhay rass ayegi, shayad sada aawargi