Latest Quotes
Loading...
Friday 31 January 2014

Jo Chale Tou Jaan Se Guzar Gaye

Tujhe Kya Khabar Mere Haal Ki
Mere Dard Mere Malaal Ki
Yeh Mere Khayal Ka Silsila
Kisi Yaad Se Hai Milaa Hua
Usse Dekhna Usse Sochna
Meri Zindgi Ka Hai Faisla Yeh Usi Ki Palkon Ke Saaye Hein
Jo Meri Rooh Mein Utar Gaye
Jo Chale Tou Jaan Se Guzar Gaye
Mujhe Iss Makaam Pe Chorna
Yeh Hai Bewafai Ki Intehaa
Yeh Kafass Ho Jaise Kholi Khizaa Jinhein Teri Deed Ki Pyaas Thi
Woh Katore Raino’n Se Bhar
Gaye
Jo Chale Tou Jaan Se Guzar Gaye
Kabhi Gham ki Aag me jal uthe,
Kabhi Dagh-e-Dil ne jala dia, Aay junoon-e-Ishq Bata Zara,
Mujhe kio Tamasha bana dia?
Gham-e-Ishq kitna ajeeb hay
Ye junoon se kitna Qareeb hay,
Kabhi Ashk palkun pe ruk gaye,
Kabhi poora darya baha dia, Abhi ker rha hay wo ibtida,
Mera kah rha hay ye tajruba,
Usay zindagi ki hay aarzu,
Mujhay zindage ne mitaa dia,
Jo ruke tu koh e garan thay
hum. Jo chalay tu jaan se guzar gaye .