Latest Quotes
Loading...

Life Qoutes

Facebook Dp's

Love Quotes

Recent Post

Friday, 28 June 2013
no image

Dukh day kar sawaal karty ho

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .
Thursday, 27 June 2013
no image

Faraz ab koi sodaa koi junoon bhi nahi

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi

Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi

Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila Magar

Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi

Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain

Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi

Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho

Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi

Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi

“Faraz”

Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

no image

Wafaa ke baab main ilzaam-e-ishq na lia

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia

“Faraz”

Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

no image

Kyon Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha

Kyon Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha
Ek Ye Bhi Zamana Hai Aik Wo Bhi Zamana Tha..!

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi..!
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha..!

Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha..!
Maloom Na Tha Tumne Yoon Chhor Ke Jana Tha..!

Kyoun Humse Khafa Ho Tum Kyoun Humse Juda Ho Tum..!
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha..!

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi..!
Tukre Bhi Kiye Dil Ke Kya Khoob Nishana Tha..!
no image

Chalo tum Chor Do Mujh Ko

Chalo tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hun..!

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Houn..!

Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna to Btla Do..!

Kay Wapis Kiss taraf Joun
Kahan Se Sath Laye the.

Mujhe Itna to Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin..!

to Mujh Ko Is tarha toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun..!

Bhatakny Se to Behter Hai
tumhary Pass he Mar Joan.
Wednesday, 26 June 2013
Sunday, 23 June 2013
no image

Lakin rehny do..! Saarey waadon ko bhula sakta hun..!

Saarey waadon ko bhula sakta hun..!
Lakin rehny do..!


Main tumhein chor k ja sakta hun..!
Lakin rehny do..!


Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz..!
faisla mein bhi suna sakti hun..!
Lakin rehny do..!


Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali..!
us per main muskura b sakta hun..!
Lakin rehny do..!


Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday..!
main tumhein yaad dila sakta hun..!
Lakin rehny do.
no image

Hum Ny ULFAT Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Ha

Hum Ny ULFAT Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Ha

Goya Seene Mein Tujey DIL Ki Jaga Rakha Ha

Dil Ye Chahey Ke Tu Kabi BADNAAM Na Ho

Dekh Zikr Tera Ha Magr Naam Chupa Rakha Hy

Mery Jis Hath Sy Kia Tha Tu Ny MUSAFA

Dhoya Hi Nahi Honton Sy Laga Rakha Hy

Ab Hum Samjhe Tery RUKHSAR Py Till Ka Matlab

DOULT-E-HUSN Pe Darban Bitha Rakha Hy

JUDA Ho Gaye Hain To Phir Kia Howa

Teri Tasweer Ko Seeny Main Saja Rakha Hy
Saturday, 22 June 2013
Very Heart Touching & Sad Urdu Poetry

Very Heart Touching & Sad Urdu Poetry



Suno k raigzaar_e_umr ka ye aakhri zarra
Meri be-jaan hatheli se phisalta ja raha hai ab
Meri guzri musafat ki thakan ab urrh aai hai
Mere qaasid... Suno... Jaane se pehle itna kehna hai
Mere ujrre shahar k un gali koochon main jao to
Jahan bachpan bitaya tha... Jahan sub kuch ganwaya tha
To us weeran khandar ko... Payaam_e_aakhri dena
Wahin aangan main dayen haath pe... Aik pairr dekho ge
Usi boorrhe shajr k sin-raseeda se badn per tum
Mere be-rung haathon ki lakeeron ki tarah... Aik jaal dekho ge
Usi peepal ki chhaon main
Kisi masoom k dil ne... Kayi sapne sajaye thay
Kisi ki aankh k aansoo... Kisi dil ne bahaye thay
Kisi ki jheel aankhon ne kayi saagar lutaye thay
Bohat narmi se us peepal ko chho ker... Itna keh dena
K ab aankhon k ye dariya.. Kahin saagar nahi hote
Muqqadar jin ka souta hai... Kabhi phir wo nahi sote
Usay kehna mere qaasid...
Jinhon ne umr saari teri chhaon main basar ker di
Wo aakhir pal tumhare paas aa ker... Kuch na keh paaye
Lipat ker tum se ro lain ge... Ager duniya main reh paaye
Suno qaasid...
Wahan se chand qadam k faasle per... Aik chokhat hai
Wahi chokhat hai ye pyaare...
Jahan sajde kiye hum ne... Jahan per zindagi haari
Jahan kuch pal jiye hum ne... Jahan per jaan yeh waari
Jawaan-margi per meri, shahar yeh matam-kanaan ho ga
Magar... Us aik chokhat per... Ajab sa he samaan ho ga
Wahan raqsaan sabhi chehron pe kuch ranaiyan hon gi
Wahan bajti chaharon soo... Bohat shehnaiyan hon gi
Wahan jis ki nazr main jeet jaane ki thakawat ho
Magar... Us dil-nasheen chehre pe... Gehri muskurahat ho gi
Samajh lena mere qaasid... Yehi qaatil mera thehra
Meri aankhen ye le jao... Mera ye kaam ker dena
Usay jee-bhar k takna tum... Meri aankhon main bhar lena
Usay chupke se keh dena
Tumhari jeet ki khaatir... Yeh jeewan jis ne haara hai
Nahi tum ho saki us ki... Wo mar ker bhi tumhara hai
Nahi... Balke... Mere qaasid...
Usay tum kuch nahi kehna...!!!
no image

Teri Mehfil Main Khudaya ky Ab Dil nahin lagta..!

Teri Mehfil Main Khudaya ky Ab Dil nahin lagta..!
Koi lamhaa bhi to jeene ke qaabil nahin lagta...

Uske kehne pe ye duniya bhi fateh hum ne ki magar..
Baahon mein vo nahin to kuchh haasil nahin lagta...

Parda-e-wafa hi sahi, duniya ke saamne..
Mera naam tere hothon pe ab vaajib nahin lagta...

Karke mujhe qatal jo khud sooli pe chadh gaya,
Maasoom tha, chehre se vo qaatil nahin lagta...
no image

Ishaq sehra Hai kay Drya hai kbi socha Tumne

Ishaq sehra Hai kay Drya hai kbi socha Tumne
Tujhse Kya Hai Mera Nata Kbi socha Tumne

Haan Main Tnha Hoon Ye Iqrar b Krti Hoon
Khud b Kitna Tu Tnha Hai Kbi socha Tumne!

Ye aLag Baat Hai Jtaya Nhi Mene Tujhko
Wrna Kitna Tjhe Chaha Hai Kbi socha Tumne!

Tjhe awaz Likha..! Noor Likha..!PhooL Likha..!
Mene Kya Kya Tjhe Likha hai Kbhi socha Tumne

Mutmain Hoon Tjhe Lafzon Ki Harart Dekr
Mene Ktna Tjhe socha Hai Kbi socha tumne...
no image

Zakhm gehre hain dard zyada hai

Zakhm gehre hain dard zyada hai..!
Hausla tootne pe aamaada hai…

Ik tera gham ik mera dil hai..!
Dekhiye zor kismein zyaada hai…

Mukhtalif log mukhtalif baatein..!
Haadsa ik..! bayaan zyaada hai…

Marna jeena bhi tujhpe chhoda hai..!
Tu bata dy ke kya iraada hai…

Ye gham ki raat aur kahaan tak hai abhi..!
Dekhta hun to chaand aadha hai…!
Friday, 21 June 2013
no image

Resham zulfon, neelam ankhon walay achay lagtay hain

ReSham zulfon" neelam ankhon walay achay lagtay hain
Main Shair hoon mujh ko ujlay chehray achay lagtay hain

Tum khud Socho" aadhi raat ko thanday chaand ki chaoon mein
Tanha raahon per hum donon kitnay achay lagtay hain...!

Aakhir"aakhir Sachay qoul bhi chubhtay hain dil walon ko
Pehlay pehlay pyar ke jhootay waday achay lagtay hain

Jab Say wo perdeS gaya hai Shehar ki ronaq rooth gai
Ab tou apnay ghar ke bund dareechay achay lagtay hain

Kaali raat mein jagmag kertay taaray koun bujhata hai?
IS dulhan ko ye mouti ye gehnay" achay lagtay hain

Kal uS roothay roothay yaar ko dekha to mehSooS hua
MohSin ujlay jiSam pe mailay kapray achay lagtay hain...!
no image

Ajnabi Shehar k Ajnabi Raaste


Ajnabi Shehar k Ajnabi Raaste Meri Tanhai Par Muskurate Rahe Main BOhat Dair Tak Yun He Chalta RAha Tum BOhat Dair Tak Yaad ATay Rahe Zehar Milta Raha Zehar Peete Rahe ROz Marte Rahe ROz Jeete Rahe Zinda Bhi Hmen Aazmati Rahi Aur Hum Bhi usy Aazmatay Rahe.. Ajnabi Shehr k Ajnabi Raste Meri Tanhai Par Muskurate Rahe... Zakhm Jab Bhi KOi Zehan-O-Dil par Laga Zindagi Ki Taraf Aik Dareecha Khula Hm Bhi GOya Usi Saaz Ki Taar Hain ChOtt Khatay Rahe Gun Gunatay Rahe ajnabi Shehar k Ajnabi Raaste Meri Tanhai Par MUskurate Rahe...
no image

Sakhtiyan karta hon dil par gair se gafil hun main

Sakhtiyan karta hon dil par gair se gafil hun main
Hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main

Hai meri zillat hi kuch meri sharafat ki dalil
Jis ki gaflat ko malak rote hain wo gafil hun main

Bazm-e-hasti apni araish pe tu nazan na ho
Tu to ik taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main

Dhundhata phirta hun ai "Iqbal" apne ap ko
Ap hi goya musafir ap hi manzil hun main
Thursday, 20 June 2013
Wednesday, 19 June 2013
no image

Top Ghazals, Ye bastiyaan hain Kay Maqtal" duaa kiye jayen

Ye bastiyaan hain Kay Maqtal" duaa kiye jayen
Duaa ke din  hain musalsal" duaa kiye jayen

Koi fughaan" koi naalaa" koi buka" koi bain
Khulega baab -e- muqaffal" duaa kiye jayen

Ye aztraab" yeh lambaa safar" yeh tanhaayi
Yeh raat aur yeh jangal" duaa kiye jayen

Bahaal hoke rahe gi fezaa-e-khitta-e-khair
Yeh habs hoga mu’attal" duaa kiye jayen

Guzashtagan-e-muhabbat ke khaab ki saugand
Woh khaab hoga mukammal" duaa kiye jayen

Hawaaye-sarkash-o-saffaak ke muqaabil bhi
Ye dil bujheinge na mash’al" duaa kiye jayen

Ghubaar uRaati" jhulasti hui zamiinon par
Umand ke aayeinge baadal" duaa kiye jayen

Qubool hona muqaddar hai harf-e-khaalis ka
Har aek aan" har ek pal" duaa kiye jayen
no image

Let me not to the marriage of true minds

Let me not to the marriage of true minds
Admit impediments. Love is not love

Which alters when it alteration finds,
Or bends with the remover to remove.

Oh no, it is an ever-fixed mark
That looks on tempests and is never shaken;

It is the star to every wand'ring barque,
Whose worth's unknown, although his height be taken.

Love's not Time's fool, though rosy lips and cheeks
Within his bending sickle's compass come;

Love alters not with his brief hours and weeks,
But bears it out even to the edge of doom.

If this be error and upon me proved,
I never writ, nor no man ever loved.”
Tuesday, 18 June 2013
Monday, 17 June 2013
no image

Aawargi by Mohsin Naqavi

Bade wasooq se duniya fareb deti hai

bade khuloos se hum aitbaar karte hain”

yeh dil yeh pagal dil mera, kyon bujh gaya aawargi

is dasht mein ik shahar tha, vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya

main ne kaha tu kaun hai, usne kahaa aawargi

ek tuu ke sadiyon se mere, humraah bhi humraaz bhi

ek mein kii tere naam se, na-aashana aawaragi

ye dard kii tanahaaiyaa ye dasht kaa viiraa.n safar

ham log to uktaa gaye apnii sunaa, aavaargii

ik ajnabi jhonke ne jab, pucha mere gam ka sabab

sehra ki bheegi ret par, main ne likha aawargi

kal raat tanha chand ko, dekha tha main ne khwab main

“mohsin” mujhay rass ayegi, shayad sada aawargi
no image

Aap kee yaad ati rahee raat bhar

Aap kee yaad ati rahee raat bhar

chashma-ye-nam muskuraatee rahee raatbhar

raatabhar dard kee, shamaa jaltee rahee

gam kee lau, thartharatee rahee raatbhar

bansuri kee sureeli suhanee sadaa

yaad ban ban ke, aatee rahee raatbhar

yaad ke chaand, dil mein utarate rahe

chaandni jagmagaatee rahee raatbhar

koi diwaana galiyon mein firtaa rahaa

koi aawaz, aatee rahee raatbhar
Friday, 14 June 2013
no image

Mohsin Naqvi : Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Mohsin Naqvi

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha
no image

Zaat ban k meri zaat me raha krta he

Zaat ban k meri zaat me raha krta he
Ik shakhs he jo mjh me basa krta he

Mery chehry me nazar aata he chehra us ka
Uska tabbasum mery honton pe khila krta he

Mere lafzon se ada hoti he baatain uski
Mere lehje se gharoor us ka chalka krta he

Meri neendon pe he barson se hakoomat uski
Khwab ban k wo meri palko pe saja krta he

Is had tk meri hasti main moujood he wo shakhs
Mery har naksh me aks us ka mila krta he
no image

Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh Dy

Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh Dy

Ya Phir Kisi Totay Huey Guldan Mein Rakh Dy

Chahat K Charaghon Ko Tu Jalna Hai Jalain gy,

Tu In Ko Utha Kr Bhaly Tofan Mein Rakh Dy

Qadmon Mein Teray Masly Hue Phool Nahi

Hain Chahat Ki Chitta Hai Kisi Shamshan Mein Rakh Dy
Saansein Na Chuka Pai Hun Qeemat Jo Wafa Ki

Ab Jism Ki Matti Ko B Taawaan Mein Rakh Dy

"MOHSIN" Teray Jazbat Yahan Kon Sunay ga??

Be Rabt Khayalat Ko Deewaan Mein Rakh Dy...!!!
no image

Ye zara zara c baat per, terah terah k azaab kuyn

Ye zara zara c baat per, terah terah k azaab
kuyn

Jo ksi se b khafa na ho , mujy uss Khuda ki
talash hy

Mujhy laghzshun pe hr gharri, koi toktta hy
baar baar

Jisey ker k dil ko dukh na ho,
Mujhy uss ghunna ki talash hy

Bina humsafer k koi kb talk, musaftoun mein
laga rehy

Jahaan koi ksi se judaa na ho, mujhy uss raah
ki talash hy

Mujhy dekh kr jo ik nazer mery sarey derd
samjh saky

Jo iss qader ho chara ger, mujy uss nazer ki
talash hy
Tuesday, 11 June 2013
Monday, 10 June 2013
Saturday, 8 June 2013
Thursday, 6 June 2013
no image

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k
no image

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)

Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)

Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
Saturday, 1 June 2013