Latest Quotes
Loading...
Saturday 22 June 2013

Zakhm gehre hain dard zyada hai

Zakhm gehre hain dard zyada hai..!
Hausla tootne pe aamaada hai…

Ik tera gham ik mera dil hai..!
Dekhiye zor kismein zyaada hai…

Mukhtalif log mukhtalif baatein..!
Haadsa ik..! bayaan zyaada hai…

Marna jeena bhi tujhpe chhoda hai..!
Tu bata dy ke kya iraada hai…

Ye gham ki raat aur kahaan tak hai abhi..!
Dekhta hun to chaand aadha hai…!