Latest Quotes
Loading...
Monday 29 July 2013

Muqadar Aazamany mein zamaney beet jatey hain

Muqadar Aazamany mein zamaney beet jatey hain
Muraden dil ki paany mein zamaney beet jatey hai..!

Nahi rakhta koi himat agar izahar-e-ulfat ki to zaban per
baat laney mai zamaney beet jatey hai

Muhabbat jo bari mushkil se milti hai duniya mai
uskey nibhaney mai zamaney beet jatey hai,

Agar achanak ankhon mai achanak aa basey koi
usey dil se bhula ney mai zamaney beet jatey hai…