Latest Quotes
Loading...
Monday 29 July 2013

Mery Dil Mery Musafir Huwa phr sy hukam sadi

Mery Dil Mery Musafir
Huwa phr sy hukam sadir

Keh watan badar hon hum tum
Dain gali gali sadaain

Karain rukh nagar nagar ka
Keh suragh koi paayin

Kisi yaar e nama ber ka
Her ik ajnabi say poochain

jo pata tha apnay ghar ka
Ser- e- koo- e nashenayan

Humain din say raat kerna
Kabhi is say baat kerna

Kabhi us say baat kerna
Tumhain kia kehoon k kia hai

Shab e ghum buree bala hai
Humain yeh bhi tha ghaneemat

Jo koi shumar hota
Humain kia bura tha merna
Agar aik baar hota!!!


"Faiz Ahmad Faiz"